A Dramatic Story: Sukun…..
Jeevan bhi na kya gazab amusement park jesa hota hai na..
waqt ki ret Par fisalte hue Hum fir Wahin laut Kar aa khade hote hain jahan se Kabhi shuru hue the…
Safalta aur kaamiyabi ki daud se thak Kar fir Bachapan k mitti k tillon Par Aakar hi sukun dhundhte firte hain…
Jin galiyon mein Kabhi na lautne ki kasmein khate hain, unhin sadkon Par bezar apna wazood khojte Dar Dar Bhatakte rehte hain…
Us Din achanak school k ek mitra ko Meri yaad aa gai, yun to hum classmates ka whatsapp grp bana hua hai Par us roz Shayad uska Kuch personal baat Karne ka mun tha… .to Shekhar ne Rimmi ko personal text kiya
Shekhar: hi
Kese ho, Kahan rehti ho
Rimmi: hi
Badiya hun Yahin rehti hun apne ghar mein
Shekhar: Tu baaz nhi aati na, Mazak ka Koi Mauka nhi chodti
(Shekhar Rimmi ke hometown ka ek safal business man hai.Paisa se samajik pehchan tak kisi bhi chiz ki use Koi Kami nhi hai)
Shekhar: Tumhari sari shayari sunta aur padta hun main social media per
Rimmi: Oh Kesa likh leti hun maine?
Shekhar: Shandar dil ko chune wala.
Rimmi: Sahi mein, Thanks yaar
Rimmi: Khud ko khush rakhne ka Yehi rasta thik laga mujhe.
Shekhar: Badiya hai, Hame bhi Bata de rasta jine ka…..
Rimmi: Uda lo Mazak garrib ka.
Kher Aur sunao kese ho tum aur tumhari family?
Shekhar: Jindgi kat rahi hai
Rimmi: Oh ho! Esa kyon bhai
(Rimmi shekar ki baat se bhamp gai thi ki aaj wo kuch udas hai, isliye rimmi ne apni baat kuch sakht aur motivational tarike se rakhni shuru ki…)
Shekhar: Kuch bate sirf dosto ko bol sakte hai sabko nahi
Rimmi: Achha, To bola Karo Na doston se
Dil ko store room thode hi banana hai…..
Shekhar: Nahi, Jaisa hum sochte hai waisa sab ko nahi milta, Or jisko chahte hai wo pata nahi kis janam me mile
Rimmi: Ye jeevan ka kadwa Sach hai bandhu
Shekhar: Han, Bhagwan sab kuch deta hai, siway Dil ki kushi ke
Rimmi: Jab pata lag gaya hai zindagi ka formula to kisi ko itna Chaho hi mat, Shayad fir wo mil bhi jaye
Shekhar: Bachpan ki yad ka kya karu jab ye sab samajhta bhi nahi tha
Rimmi: Oh Ho, Bachpan bite zamane Guzar gaye
Shekhar: Socta ho per dar bhi lagta hai kahi wo bura nahi man jaye
Rimmi: Kahan tum bhi bachhon wale ho Kar bachhon Jesi baat karte ho
Shekhar: Ha lekin kuch bate man or dimag me reh jati hai
Shekhar: Bachpan me lotna chata ho
Rimmi: Jo mumkin nhi
Rimmi: Aage bado dost, Samne surye k ujale mein zindagi ki chamak ko Dekho
Yaadon k saye aur andheron ki ghutan ko chhodne mein hi bhalai hai
Shekhar: Kabhi kabhi piche bahut kuch choot gaya aisa lagta hai
Rimmi: Chhot gaya hai, To Nishchit hi Milne wala nhi tha, fir uska rosh bekar hai
Shekhar: Sahi hai
Rimmi: Seriously yaar Shekhar, Relax ho jao
Shekhar: Kyu kya hua
Rimmi: Is Tarah pareshan ho Kar khud ko aur tumhare chahne walon ko dukhi mat Karo
Jo bhagya mein hota hai Wahi milta hai, Jo nhi mila, Wo tumhara tha hi nhi….
Rimmi: I’m sorry if I’m wrong..
Shekhar: Tum kyu sorry bol rahi ho, Pata nahi yaar
jivan me sab kuch kiya jitni meri yogyata thi lekin phir bhi wo khusi nahi hai
Rimmi:Khushi bahar nhi hoti dost, Khushi kisi aur mein bhi nhi hoti
Khushi to tumhari tumhare aas pass k environment mein tumhari santushi mein hoti hai
Rimmi: That how much u cherish ur surroundings
Shekhar: Koi aapne ko samajhne wala chahiye
Shekhar: Shayad wo feeling bachpan ke dosto ke alawa kisi aur me nahi hoti
Rimmi: koi Nhi hota, Talash bekar hai, Han thoda apnapan mil sakta hai, But no guarantee
Shekhar: Kya pura jivan aise hi nikale
Rimmi: Oo, Senti nhi ab bus bhi karo yaar samajhdar bano
Shekhar : 20 sal padhai, 20 sal business, Khud ke liye kab jiyenge, Mere koi jasbat nahi hai kya
Rimmi: hai dear bahut hai, Ese udas nhi hote
Shekhar: Koi bat nahi yaar
Rimmi: I mean tumhare zasbaat hain dear, Tum khud ko Ese pareshan na karo
Shekhar: Sab chalta hai, Koi bat yaar, Life hai….
Aur Dekhte hi Dekhte shekhar offline ho gaya aur bahut se Sawal chhod gaya…
Ki jeevan bhar Hum jin chizon ke pichhe daurte daurte hanfne Lagte hai un chizon ki mun k sukun ke aage aakir aukat hi kya hai?